Khelne Ke Itne Saare Tareeqay!

Har bachay ka apna andaaz, har activity ka apna maza.

Kisi ko slides pasand hain, kisi ko jumping, aur kuch bachay toh ball pit se bahar hi nahi aana chahte!

Khel Kood mein har bachay ke liye kuch na kuch hai. Yahan woh apni pasandeeda activities enjoy kar sakte hain, naye challenges try kar sakte hain aur khul kar khel sakte hain.

Activities Dekhein
Kids jumping on the trampolines at Khel Kood

Aao, Khel Shuru Karein!

Toddlers climbing soft blocks in the soft play area

Soft Play Area

Chhote qadam, bari adventures!

Kabhi upar chadhna, kabhi neeche utarna aur kabhi naya raasta dhoondhna. Soft Play Area mein bachay apni marzi se explore kar sakte hain aur har baar kuch naya try kar sakte hain.

Kids bouncing in the mini bounce area

Mini Bounce Area

Thori si jumping toh banti hai!

Jin bachon ko ek jagah baithna pasand nahi, unke liye yeh activity bilkul perfect hai. Jump karein, uchhlein aur apni saari energy khel mein laga dein!

Kids racing along the ninja obstacle course

Ninja Obstacles

Dekhein kaun challenge poora karta hai!

Kabhi balance banana hai, kabhi raasta paar karna hai. Yahan bachay different obstacles try karte hain aur har challenge complete karne ki koshish karte hain.

The Khel Kood mascot diving into the ball pit

Ball Pit

Rang birangi balls aur dher saara maza!

Ball Pit bachon ki favourite jagahon mein se ek hai. Ismein khelna, balls uchhalna aur doston ke saath masti karna — bachon ka dil hi nahi bharta!

Kids sliding down the slides into the ball pit

Slides

Ek baar slide, phir ek baar aur!

Upar jaane ki jaldi aur neeche aane ki excitement! Slides par bachay baar baar jaana chahte hain, aur har baar utna hi maza aata hai.

Khelne Ka Time Ho Gaya!

30 minute ka pass —Rs. 300

Ek pass mein Khel Kood ki paanchon activities ka maza!

Hamari activities 1 se 8 saal ke bachon ke liye hain. Har activity istemal karte waqt staff ki hidayaat ka khayal rakhein.

Apna Slot Book Karein