Thora Sa Khel, Bohat Bara Faida.

Bachpan hai, toh khelna bhi zaroori hai!

Bachay jab khelte hain toh sirf apna waqt nahi guzarte. Woh naye tareeqay dhoondte hain, chhote chhote challenges poore karte hain aur apni marzi se cheezein explore karte hain.

Toddlers playing in the soft play area with the Khel Kood mascot

Isi liye Khel Kood mein humne ek aisi jagah banayi hai jahan bachay khul kar khel sakein aur apni pasandeeda activities enjoy kar sakein.

Yahan koi ek tareeqa nahi ke kaise khelna hai. Kisi ko bounce karna pasand hai, kisi ko slides aur kisi ko ball pit. Har bachay ko apna favourite corner mil sakta hai.

Khel Khel Mein Bohat Kuch!

Hilna Julna, Aur Active Rehna

Jumping, sliding aur obstacles jaisi activities bachon ko move karne aur apni energy istemal karne ka mauqa deti hain.

Kuch Naya Try Karna

Jab bachay naye challenges try karte hain, toh unhein apni abilities pehchanne aur confidence banane ka mauqa milta hai.

Apni Marzi Se Khelna

Har bachay ki apni pasand hoti hai. Khel Kood mein woh different activities explore kar sakte hain aur dekh sakte hain ke unhein sabse zyada kya pasand hai.

Doston Ke Saath Maza

Saath khelna, apni baari ka intezar karna aur ek doosre ko dekh kar nayi cheezein seekhna bhi bachpan ka hissa hai.

Kyun Khel Kood?

Hum chahte hain ke bachon ke paas ek aisi jagah ho jahan woh apna playtime achhi tarah enjoy kar sakein.

Soft Play, Mini Bounce, Ninja Obstacles, Ball Pit aur Slides — sab ek hi jagah, taake bachay apni pasand ke mutabiq khel sakein.

Aur parents ke liye bhi plan banana asaan ho: Rs. 300 ka pass aur 30 minute ka playtime.

Aao Khelein, Aao Koodein!

Bachon ko le kar aaiye aur unhein apni favourite activity khud choose karne dein.

Plan Your Visit